اردو हिंदी
Sikka pani aur sitara | Shaahi Shayari
sikka pani aur sitara

Nazm

Sikka pani aur sitara

Shaheen Gazipuri

;

mund kar aankhen
baDe hi dhyan se

main ne pichhe ki taraf
hauz ke pani mein sikke phenkte hi

ek zara si chheD ki
apne dil-e-KHush-fahm se

ai bawle
ab to ho jaegi puri

KHair se teri murad
sah-pahar ki dhup mein

hauz ke jharne mein sikke
sat rangon mein chamakte

yun dikhai de rahe the
jaise hum aawaz ho kar

sab uDate hon mere dil ka mazaq
jaise aapas mein hi

kar rakkha ho barpa
meri nam-KHurda

hatheli ke sitaron ne fasad