اردو हिंदी
Shofer | Shaahi Shayari
shofer

Nazm

Shofer

Shaad Aarfi

;

khaT khaT kaun? sabiha! kaise? yunhi, koi kaam nahin
pichhli raat bhyanak garage kya kuchh ho anjam nahin

mera zimma main bhugtungi tum par kuchh ilzam nahin
hum hain us aKHlaq ke pairaw, hum hain us tahzib ke log

jis mein iffat ek mafruza ismat jis mein 'zehni rog
jazbon par pahre biThlana kya sauda-e-KHam nahin?

do bachchon ke bap to kya hai? dil ka ho insan jawan
tum bhi aise ban jao na jaise manjhle bhai jaan

sali aur salaj par laTTu, biwi se hammam nahin
un se wo tahzib se unchi, chhoTe bhai se waqti chah

shauhar aae na aae lekin dewar ki takti hain rah
KHwahish ki takmil bhi jari, shadi bhi nakaam nahin

naukar aur namak aur mazhab in tawilon se baz aao
mardon ki aisi neki par aa jata hai mujh ko taw

aurat ke honTon par Thappa ab maqbul-e-am nahin
hafta bhar mein ek din aisi laghzish koi aib nahin

zahir hai papa mammy ko hasil ilm-e-ghaib nahin
kali raaton ki baaton se waqif subh-o-sham nahin

jati hun, ghabraate kyun ho? kya andhiyari ghor nahin?
do dil raazi ke bare mein qazi ka kuchh zor nahin

lo ye das ka note tumhaari ujrat hai inam nahin