tu hamesha rahta hai chin-bar-jabin afsurda dil
phir kisi ki bazm-e-ishrat mein na ja bahr-e-KHuda
KHud hi apni jaan se be-zar tu insaf kar
tujh se ahl-e-bazm phir kis tarah KHush honge bhala
chahiye is tarah jaana mahfil-e-ahbab mein
bagh mein jis tarah KHush KHush aati hai baad-e-saba
KHair-maqdam ka ishaara jhum kar karti hai shaKH
aur chaTak kar deti hain kaliyan sada-e-marhaba
jis shajar ke pas se guzre laga wo jhumne
pahunche jis ghunche tak afsurda tha wo hansne laga
dil pe jo guzre wo guzre kyun kisi ko ho KHabar
sab se baDh kar hai KHuda tu haal dil ka jaanta
shadi-o-gham jab ki donon hain jahan mein be-sabaat
waqt apna kaT de hans bol kar bahr-e-KHuda

Nazm
Shirkat-e-mahfil
Nazm tabaa-tabaa.ii