dekhiye in jine walon ka nishan-e-zindagi
dekhiye in marne walon ka jahan-e-zindagi
dekhiye in pastiyon mein aasman-e-zindagi
dekhiye in KHak ke zarron ki shan-e-zindagi
baiThiye dam-bhar shahidan-e-watan ki KHak par
dekhiye ruh-e-wafa kya kya ubharti hai yahan
dekhiye hubb-e-watan dil mein utarti hai yahan
dekhiye dil ki faza kaisi nikharti hai yahan
dekhiye rahmat KHuda ki tauf karti hai yahan
baiThiye dam-bhar shahidan-e-watan ki KHak par
is jagah be-rangiyan bhi aalam-e-taswir hain
is jagah tarikiyan bhi shama ki tanwir hain
is jagah KHamoshiyan bhi ek lab-e-taqrir hain
is jagah ruposhiyan bhi dil ki daman-gir hain
baiThiye dam-bhar shahidan-e-watan ki KHak par
uTh gae duniya se lekin ek duniya ho gae
bulbule pani ke the TuTe to dariya ho gae
ye wo the zarraat jo uD kar surayya ho gae
ye wo the bimar jo mar kar masiha ho gae
baiThe dam-bhar shahidan-e-watan ki KHak par
dil ke ujDe bagh ko aabaad hote dekhiye
ruh ki afsurdagi ko shad hote dekhiye
bandagi ko qaid se aazad hote dekhiye
par-shikasta said ko sayyaad hote dekhiye
baiThiye dam-bhar shahidan-e-watan ki KHak par
aaiye us KHak se kasb-e-fazilat kijiye
aaiye qurban us par dil ki daulat kijiye
han zara ruk jaiye itni na ujlat kijiye
is ziyarat-gah-e-alam ki ziyarat kijiye
baiThiye dam-bhar shahidan-e-watan ki KHak par
Nazm
Shahid-e-watan
Josh Malsiani