tujhe e'tibar-e-sahar bhi hai
tujhe intizar-e-bahaar bhi
magar ai sada-e-umid-e-dil
meri zindagi to qalil hai
ye shab-e-KHizan
hai mere guman se ajib-tar
koi aas-pas nahin yahan
koi shakl ho jo dil-afrin
koi nam ho jo mata-e-jaan
koi chand zina-e-abr se
utar aae aur mujhe tham le
koi KHwab-ru baDi gahri nind se
chaunk kar mera nam le
sar-e-sham koi sitara jo
koi rah-rau kisi rah mein
jise ho faqat yahi aarzu
mera hath tham ke raushni ke
kisi madar mein le chale
meri nind chum ke
KHwab ke kisi margh-zar mein le chale
magar ai baha-e-umid-e-dil
teri zindagi bhi qalil hai
ye KHizan ki raat
tawil hai

Nazm
Shab-e-KHizan
Sameena Raja