phir barq farozan hai sar-e-wadi-e-sina
phir rang pe hai shoala-e-ruKHsar-e-haqiqat
paigham-e-ajal dawat-e-didar-e-haqiqat
ai dida-e-bina
ab waqt hai didar ka dam hai ki nahin hai
ab qati-e-jaan chaara-gar-e-kulfat-e-gham hai
gulzar-e-iram partaw-e-sahra-e-adam hai
pindar-e-junun
hausla-e-rah-e-adam hai ki nahin hai
phir barq farozan hai sar-e-wadi-e-sina, ai dida-e-bina
phir dil ko musaffa karo, is lauh pe shayad
mabain-e-man-o-tu naya paiman koi utre
ab rasm-e-sitam hikmat-e-KHasan-e-zamin hai
taid-e-sitam maslahat-e-mufti-e-din hai
ab sadiyon ke iqrar-e-itaat ko badalne
lazim hai ki inkar ka farman koi utre
Nazm
Sar-e-wadi-e-sina
Faiz Ahmad Faiz