ek din mujh se samundar ne kaha
kaun uThaega mera bar-e-giran
apni aashufta-sari ki KHatir
main ne qurban kiya aish-e-jahan
raat ko chain na din ko aaram
umr nashad kaTi garm-e-fughan
muzmahil ho gae aaza mere
dast o pa mein na rahi tab o tawan
mauj ko khel se fursat hi nahin
is subuk sar ko meri fikr kahan
kuchh tawaqqo thi mujhe sahil se
wo magar nikla faqat reg-e-rawan
baadal aate hain chale jate hain
ek pal mein yahan ek pal mein wahan
is zamane mein ho kis se ummid
gham se begana samajh sakta hai
dard ka raaz mohabbat ki zaban
apne sine mein biTha lo mujh ko
ta ki main paun mashaqqat se aman
sun ke bechaare ki rudad-e-alam
kar liya main ne use dil mein nihan
aao dekho mere ashkon mein use
ek samundar hai karan-ta-ba-karan
Nazm
Samundar aur main
Muneebur Rahman