sag-e-ham-safar aur main
wahan aa gae hain
jahan KHatm hai kaenat
yahan se nasheb-e-zaman-o-makan ka agar jaeza len
to lagta hai jaise dhundlakon ke us par
jo kuchh bhi hai Thik hai
hasb-e-mamul hai
mera nam shenanDora hai
main kitni sadiyon se us bahr-e-zaKHKHar mein KHema-zan tha
jo mawwaj samt-e-digar mein raha
ek din
daf-e-aseb o raf-e-bala ke liye
kuchh pur-asrar fiqron ki gardan karta hua
jada-e-KHauf par gamzan tha
main apne shabistan ki jaanib
ki ek larzish-e-na-gahan se guzarna paDa
to andhe zamanon ki sahra-nawardi ke aaKHir mein
wo ek tarik lamha tha jab
sag-e-ham-safar aur main
manda o gursana
yahan is ilaqe mein warid hue
aur andhere mein kuchh fasle par teri raushni dekh kar
raqs karne lage
sag-e-ham-safar aur main
sag-e-ham-safar aur main
Nazm
Sag-e-ham-safar aur main
Rais Farogh