wo ek sham qalam kho gaya tha jab mera 
bahut talash kiya har taraf idhar ki udhar 
magar qalam ka kahin par nishan na hath aaya 
meri talash meri kashmakash se ghabra kar 
meri wo chhoTi si beTi mere qarib aai 
ki jis ne likhna abhi bas abhi hi sikha hai 
mere hawale kiya apni ek pencil aur 
kaha ki aap ise apne waste rakhiye 
magar ajib sa jadu hai us ki pencil mein 
siwae sach ke jo kuchh aur likh nahin pati 
wo ek sham bahut chaha kuchh likhun lekin 
wo ek sham ajab thi main kuchh na likh paya
 
        Nazm
Sadaqat
Muzaffar Abdali

