اردو हिंदी
Sachcha diya | Shaahi Shayari
sachcha diya

Nazm

Sachcha diya

Akbar Hyderabadi

;

apni pichhli sal-girah par main ye soch raha tha
kitne diye jalaun main?

kitne diye bujhaun main?
mere andar dewon ka aisa kab koi hangama tha?

main to sar se panw talak KHud ek diye ka saya tha
umr ki ginti ke wo diye sab

jhuTe the
be-mani the

ek diya hi sachcha tha
aur wo meri ruh ke andar jalta tha