be-dagh wusaton ki aahu-e-be-bak
tere ek hi mushk-bez jhonke ne
yaadon ke dariche khol diye hain
jhulasti dopahron mein
ghane pipal ki chhanw mein
jhula jhulti ham-joliyan
KHush-gulu chaDhe ki aawaz mein
reg-zaron ke git
kun ras hue jate hain
barsat ki aabnusi raat ka manzar
khule aasman tale ban ki ThanDi chaarpai par
chadar tan kar
dhule taron ki jhilmilahaT
did-ras hui jati hai
sawan rut mein gili sondhi maTki mahkar
chaDhi nahron ki saloni sawani thi mushk-bar
subhan teri qudrat ki
sadaen bhi ajab thin
Dal Dal ko kai koyal ki
adaen bhi ghazab thin
main chashm-e-tasawwur se
un chundhiya dene wale raushniyon se
nazren bacha kar
is bazm-e-nashat mein jhank leti hun
ki
har shai apne asal ko DhunDhti hai

Nazm
Saba-e-sahra
Shamim Alvi