اردو हिंदी
Sahir-ludhiyanwi ke liye | Shaahi Shayari
sahir-ludhiyanwi ke liye

Nazm

Sahir-ludhiyanwi ke liye

Noor Parkar

;

sahar tha jis ki baaton mein
naKHl-e-samar tha

jis ke hathon mein
jadu-bayan aisa

jo banjh zaminon se faslen uga gaya
wajud ki be-mani kitabon mein

hamein dars-e-ibrat de gaya
maut aur zist ke darmiyan

kitne fasle masdud kar gaya
tajrabaat ka bas apne pyalon mein ghol kar

shaKHon mein aansu khila gaya
le aaya wo saughat

jo zaKHm-e-dil ka mudawa bhi bani
qudrat ne us ko baKHshi

dayar-e-shauq ki rahbari
har lamha jis ne ki apni zat ki nigahbani

taraqqi-pasandon mein 'sahir'
ek nirala shair tha