sahilon se kaho, main nahin aaunga
ab kisi shahr ki raat mere liye jagmagae nahin
dhup buDhe makanon ki unchi chhaton par mera nam le kar bulae nahin
main nahin aaunga
yaad aata hai, ek din kisi se kaha tha
tujhe pahan kar dur ke shahr ki ajnabi dhartiyon mein utar jaunga
main aqida hun: mar jaunga
yaad aata hai, ek din kisi ne kaha tha
mein tere liye, tere ehsas ki wadiyon ki ghani chhanw mein pur-sukun
nind so jaungi
be-sada lafz hun, teri aankhon mein kho jaungi
yaad aata hai, ek din mere ru-ba-ru: ek pur-shor aur be-karan bahr tha
yaad aata hai, ek din mere ru-ba-ru: mein koi jagta jagmagata hua
Dubta shahr tha
ek aawaz thi: duriyon se bulati hui
ek aawaz thi, dur ke ek akele pahaDi nagar ke anokhe se manzar
dikhati hui
mujh se chhu kar kahin dur jati hui
waqt mujh se pare
waqt tujh se pare
main aqida hun
tu be-sada lafz hai
apne apne badan ke alao mein jal jaenge
dur ke
jagmagate hue
muntazir sahilon se kaho
hum nahin aaenge
hum nahin aaenge
Nazm
Sahilon se kaho, main nahin aaunga
Kumar Pashi