اردو हिंदी
Rumuz-e-auqaf ki nazm | Shaahi Shayari
rumuz-e-auqaf ki nazm

Nazm

Rumuz-e-auqaf ki nazm

Daniyal Tareer

;

kahan par lafz likh kar fasla dena
kahan comma lagana hai

kahan qausain mein likhna
kahan paira banana hai

kahan ehsas ko likhna hai bas us ke alif jitna
kahan ehsas

kahan ehsas ko pura dikhana hai
tariqa hi nahin aata

tumhein to nazm likhne ka saliqa hi nahin aata