hum riwayat ki kohna sadiyon ke parbat tale
wo ghane sabz jangal hain jo
be-panah shaKH-dar-shaKH tabindagi
tazgi ke tamawwuj se sanwla ke
KHud hi jhulas jaen
aise jalen aise jalen
ki faqat dur tak koela koela hi dikhai de
aur tazgi ki numu
KHak se bhi gawahi na de
wo muqaddar ke achchhe
ki jin ko jalape ki muddat guzarne pe
un koelon ki jagah hire moti mile
wo muqaddar ke achchhe
ki jin ki duaen zamin ki tahon mein wahin
to kahin sona chandi banen
wo muqaddar ke achchhe
ki jin ke badan kholte KHun ke chashme the
ab bhi hain
pare ki kanon ki surat kahin
to kahin aise bhi saKHt jaanon ke hain silsile ja-ba-ja
jin se faulad ka nam painda hai
wo jalan jo kabhi tazgi ke tamawwuj se paida hui
hai muqaddar ki tahrir aisi ki jis ki jalan ibtida
intiha bhi jalan
jalte rahne ka ye saneha bhi jalan
anjuman anjuman
chaudhwin-raat ke chand ne bhi kaha
bhigi barsat ke rad ne bhi kaha
tum wahi ho ki jin ko chaTaKHne ki mohlat bhi milti nahin
ab riwayat yahi hai
nibhao hanso
muskurao jalo
har ek zard chehra gulabi karo
har ek aankh ko arghawani karo
magar yaad rakkho
riwayat na TuTe
tamawwuj ki har tazgi lakh jhulse
riwayat na TuTe
Nazm
Riwayat na TuTe
Kishwar Naheed