hamein sab pata hai
ki hum dhartiyon ke nirale fusun se
azal se shanasa hain
aur nil-gun aasmanon ka nashsha bhi
hum ne chakha hai
unhen gham yahi hai ki un ke saron par
koi aasman hai na panw ke niche zamin hai
faqat ek KHarida hua karb-e-qismat hai un ki
hamein sab pata hai
unhen lauTna hai pasheman ho kar
safar ke dukhon se pareshan ho kar
ki dharti ka aur aasmanon ka rishta
azal se purana hai
aur ek hi sut mein hum piroe hue hain
Nazm
Rishton ki pahchan
Kumar Pashi