hawa uDae resham baadal ke parde
chhan chhan kar peDon se utren raushaniyan
jaise achanak bachchon ko aa jae hansi
jangal tira-baKHt nahin
chhan chhan kar chhitnar se barso raushniyo
paudon ki rag rag mein tairo raushniyo
jangal ke sine ke konon-khudron mein
dabe hue asrar bahut
KHwab-gazida nashe mein sarshaar bahut
nind nagar ko tajne pur israr bahut
konpal konpal phuTne pe tayyar bahut
buDhe peD na rasta roko
un KHwabon ko ji lene do
chhan chhan kar chhitnar se barso raushniyo
is masum hansi mein garche rabt nahin
pal-bhar mein aansu bin jaen zabt nahin
is moti ke qalb mein utro raushniyo
aur chamak us ki chamkao raushniyo
nagar nagar mein tum sa nazuk lams na paun
kiran kiran ke lekin barson bojh uThaun
Nazm
Raushni ke bojh
Abrarul Hasan