raushni kam hai na kar us ki shikayat hamdam
raushni kam hi rahe to achchha
shadmani-o-KHushi ke hamrah
ek na ek gham bhi rahe to achchha
dasht-o-sahra ho ki bagh-e-dabistan
sath-e-dariya ho ki chaTyal maidan
raat har chiz pe hai saya-nishan
raushni kam hai andhera hi ziyaada hai yahan
shah-rahon ke nazaron pe na ja
qumqumon ki nazar-afroz qataron pe na ja
kyunki ek chashm-e-basirat ke liye
jo bhi hai pesh-e-nazar
chashmak-e-barq hai ya raqs-e-sharar
aa zara moD idhar ko bhi nigahen apni
tira-o-tar hai kitni ye gali
TimTimati hai jahan khambe par
ek maili si shikasta chimni
jis tarah naza mein koi bimar
kab talak raushni phailaegi ye
subh se pahle hi bujh jaegi ye
aur phir ek ghaTa-Top andhera hoga
is andhere hi mein bas us ka sawera hoga
aa ki hum ab dil-e-insan bhi TaTolen chal kar
band hain ye jo dariche unhen kholen chal kar
ek ya do ke siwa sab hain siyahi se bhare
jaise patte shajar-e-KHushk mein do-chaar hare
tira-o-tar hai kis darja zamir-e-insan
raushni is mein kahan
raushni kam hai andhera hi ziyaada hai yahan
Nazm
Raushni kam hai
Amjad Najmi