ras-bhare honT
phul se halke
jaise billor ki surahi mein
baada-e-atishin-nafs chhalke
jaise nargis ki gol aankhon se
ek shabnam ka arghawan qatra
shafaq-e-subh se daraKHshanda
dhire dhire sambhal sambhal Dhalke
ras-bhare honT yun larazte hain!
yun larazte hain jis tarah koi
raat din ka thaka hua rahi
panw chhalni nigah mutazalzal
waqt sahra-e-be-karan ki jahan
sang-e-manzil-numa na aaj na kal
dafatan dur! dur aankh se dur
shafaq-e-sham ki siyahi mein
qalb ki aarzu-nigahi mein
farsh se arsh tak jhalak uTThe
ek dhoka sarab manb-e-nur!
ras-bhare honT dekh kar 'tasir'
raat din ke thake hue rahi
yun taraste hain, yun larazte hain!
Nazm
Ras-bhare honT
Mohammad Deen Taseer