kaTti nahin sard raat
Dhalti nahin zard raat
raat judai ki raat
KHali gilason ki samt
takti hui aankh mein
qatra-e-shabnam nahin
kaun lahu mein bahe
meri ragon mein chale
tez ho sanson ka shor
jalne lage por por
aae samundar mein josh
gir paDe diwar-e-hosh
sukhi hui shaKH par
barg o samar khil uThin
aao meri nind ki
bikhri hui pattiyan
aaj sameTo zara
kab se khula hai badan
is ko lapeTo zara
ek shikan do shikan
bistar-e-tanhai par
phir se baDha do zara
mujh ko rula do zara
ek pahar raat hai
raat judai ki raat
Nazm
Raat judai ki raat
Shahryar