subuk-pa hawa ki tarah main guzarta raha
subuk-pa hawa ki kahin koi manzil nahin
hawa be-karan waqt ki mauj azal se tarasti rahi
kahin pal ko susta sake so sake
magar dur hadd-e-nazar ek dhundalka tha ab bhi dhundalka hai sahil nahin
mujhe zindagi ek KHalish ban ke Dasti rahi
kabhi aisi manzil na aai jahan koi taza nafas ho sake
har ek dhundli manzil se pahle naya rasta hi ubharta raha
kabhi jalte phulon ki nau-KHez KHushbuen dil mein dahakti rahin
kabhi KHushk jhulsi hui Tahniyan abr-paron ko hasrat
se takti rahin
wo kuchh mujh se kahne ko thin aur jhijakti rahin
kabhi sukh ke sae kabhi dukh ke dariya mera dil machalta raha
kahin phaile maidan kahin saKHt unchi chaTanon ke
uljhe hue silsile
magar meri manzil yahan bhi nahin thi wahan bhi nahin
main chalne pe majbur chalta raha
main har bar kuchh bhul aaya hun pichhe kahin
yunhi jaise KHud rah gaya hun kasi phul ke pas
chalte hue
Nazm
Rah-rau
Zia Jalandhari