aaj main dur bahut dur nikal aaya hun
be-talab tag-o-dau
dil mein kawish na talash
na koi KHwahish maKHfi na tamanna-e-maash
hawas-e-KHam na sauda-e-tamam
yunhi chalta hua chalta hua aa pahuncha hun
pai-ba-pai gam-ba-gam
kis qadar dur nikal aaya hun
us se pahle bhi chala hun main nai rahon par
shah-rahon se pare
KHar-zaron mein ghisaTti hui ek surKH lakir
ek sisakti hui dil-doz nafir
sarsaraate hue malbus
mahakti hui sans
lazzat-o-karb ka maddham bam-o-zer
aaj lekin main bahut dur nikal aaya hun
aur ek sham sar-e-rah-guzar
wo meri laghzish-e-pa meri wo be-rah-rawi
KHud-faramosh subuk-dosh-e-amal
apne ajdad ke na-karda gunahon ki uqubat se bari
ek hiran chaukDi bharta hua KHamosh-KHiram
sham ke waqt sar-e-rah-guzar
main bahut dur bhaTak nikla tha
aaj lekin main bahut dur nikal aaya hun
aap se aap bahut dur bahut dur nikal aaya hun
shah-rahon se pare dur guzargahon se
be-talab be-tag-o-dau
KHanqahon se alag daur sanam-KHanon se
hawas-e-KHam na sauda-e-tamam
yunhi chalta hua chalta hua aa pahuncha hun
pai-ba-pai gam-ba-gam
kis qadar dur bahut dur nikal aaya hun
Nazm
Rah-rau
Mohammad Deen Taseer