awwal
halqa-e-yaran mein kanan raat ke pichhle pahar
bastiyon se dur nahron ke kinare KHema-zan
wo daraKHton ki hawaon mein sitare KHema-zan
bastiyon se dur sahra ke nazare KHema-zan
halqa-e-yaran mein kitne naznin nazuk kamar
dom
raqs ke hangam kitne bazuon ka pech-o-KHam
dekhne walon ki nazron mein utar aane ko hai
ye badan ka loch jaise ruh bal khane ko hai
ye nazar ke samne kitne hi aalam KHwab se
raqs ke hangam ubhar aate hain kitne shoKH rang
aur kitne tez ho jate hain nazron ke KHadang
ye KHayalon ke gulistan ye nigahon ke qafas
raqs ke ye daere shola-ba-daman har nafas
soyam
rasm ada hone na pai thi ki KHemon ke qarib
shah-nashin ki samt dauDe is tarah wahshi naqib
kitne arman kitne gham ashkon mein Dhal kar rah gae
ain jashn-e-rasm ke hangam kanan ka gurez
kitne manzar aariz-o-lab ke pighal kar rah gae
kitne lab hasrat-chashida kitni aankhen ashk-rez
jaise saghar aaen hathon mein magar TuTe hue
chheDiyo mat zindagi ke baal-o-par TuTe hue
tar hain is saz ke ai naghma-gar TuTe hue
chahaarum
ye qabilon ke shuyuKH-e-puKHta-umr o saKHt-kosh
wadi-e-dajla ke shahri kurd ke KHana-ba-dosh
laD rahe hain apni apni kaj-kulahi ke liye
kaun daru ban ke aae kam-nigahi ke liye
garmi-e-guftar se mumkin nahin dil ka rafu
guftugu se aur baDh jata hai josh-e-guftugu
Nazm
Qissa-e-chahaar-KHwab
Qamar Jameel