bare aai najat ki bari
khul gaya uqda-e-giraftari
hum ko mansab mila rihai ka
qaid ko jaedad-e-bekari
panw ko chhoD bhage mar-e-do-sar
sar ko pushtara-e-giranbari
kuch Thahra maqam-e-ghurbat se
ab watan chalne ki hai tayyari
ruKHsat ai dostan-e-zindani
alwida ai gham-e-giraftari
arrahil ai mashaqqat-e-har-zor
al-firaq ai hujum-e-na-chaari
dal fe ain ai kitabat-e-qaid
gaf mim ai hisab-e-sarkari
dal chawal se kah do ruKHsat hon
pani mein Dube ye namak khaari
machhliyon se kaho ki haT ke saDen
ghas khode yahan ki tarkari
chini barhama malai madrasi
ahl-e-asham jangali tatari
apne didar se maf karen
apni baaton se den subuk-sari
kale pani se hote hain ruKHsat
ashk-e-shadi hain aankhon se jari
baiThte hain jahaz duri par
uThte hain langar-e-giranbari
karam ai KHizr al-madad ai nuh
rahm ai fazl-e-hazrat-e-bari
assalam ai KHarosh-e-bahr-e-muhit
assafar ai safina-e-jari
zad-e-rah-e-safar tawakkul hai
rahnumai ko us ki ghaffari
hai irada ki fikr-e-sher karen
taki ho dur ranj-e-bekari
bas-ki barson raha hun zindan mein
bhuli qasr-e-suKHan ki memari
Nazm
Qaid se najat
Muneer Shikohabadi