na jaane kya mila kya hasraten baqi rahin dil mein
abhi duniya se kya kuchh aur lena hai
mujhe to ye KHabar hai
ye dahakti aag
sab kuchh KHak kar degi
faqat mera nishan
uThta dhuan
chaaron-taraf rishton pe maili rakh chhiDkata
ye tezabi
rag-o-pai mein panapta zahar
maghrurana be-zari
nigah-dari ki diwaren khaDi karti
ye sab us aag mein kyun jal nahin jate
abhi duniya se kya kuchh mangna hai
kya jhapaTna hai
main sail hun luTera hun
hui hai masKH yun surat ki pahchani nahin jati
main kab tak jhonkta jaunga ye tanur
lahki aag se kab nur phuTega
koi nannhi kiran dhimi si lau
mujh se kahen to chandni phaile
main kab duniya ko lauTaunga us ke pyar ke tohfe
Nazm
Pyar ke tohfe
Abrarul Hasan