prit nagar se pheri wala meri gali mein aaya 
chuDi, laung, anguThi, chhalle rang birange laya 
main ne puchha aur bhi kuchh hai, bola miTha sapna 
jis ko le kar jiwan bhar ek nam ki mala japna 
main ne kaha kya mol hai is ka, bola ek muskan 
tan mein aag lagao is se rakkho man ki aan 
sasta sauda dekh ke aaKHir mein pagli muskai 
jiwan bhar ka rog sameT ke main kaisi iThlai 
rahega lal gulab sa sapna kab tak mere sang 
kab tak is mein bas rahegi, kab tak us mein rang 
is ke tar bikhar jaenge kab mera dil mane 
dil pe rahega kab tak jadu pheri wala jaane
        Nazm
Pheri wala
Sajjad Baqar Rizvi

