kash ek shab koi chand aisa uge
aadatan tu mujhe yun to jis mein dikhe
han agar aks ho wo tera aaKHri
dard ka ho ye manzar mera aaKHri
us sahar mein khule aankh meri ki jab
yun lage jaise tu hai nahin tha nahin
wo jo lamhe guzar kar gaya tha kabhi
yun lage wo kabhi jaise guzra nahin
par KHayalat to phir KHayalat hain
kuchh nahin dil se umda ye jazbaat hain
phir ye mumkin kahan gar koi ho mila
sath sansen bhari sath roya hansa
wo jo hissa ho ek zindagi ka meri
ho sabab gham ka ya ho KHushi ka meri
jo hua hai wo kaise hua hi nahin
kaise sochun wo dil mein raha hi nahin
wo to tha ab bhi hai aur rahega sada
wo gaya tha hi kab jo ki aae bhala
apne mazi mein jhankun na paun tujhe
ab ye mumkin kahan bhul jaun tujhe
ek pal tha abhi tu yahin tha yahin
aur pal ye hai ek tu kahin bhi nahin
gar nahin tu to yaaden teri kyun rahen
zehn-o-dil par ye baaten teri kyun rahen
kiya kabhi zindagi aisa hoga nahin
wo jo ab hai nahin man lun tha nahin
aisa hoga kabhi ho tasalli kabhi
yahi hona tha likkha hua bhi yahi
jis tarah ek pal mein juda wo hua
main bhi kah dun ki ab jo hua so hua
par yahi ek hunar mujh ko aaya nahin
yaad kar ke ye dil bhul paya nahin
laKHt-e-dil ki tarah mujh mein rahta hai wo
qatra-e-KHun sa mujh mein bahta hai wo
wo koi shai kahan main jase chhoD dun
rabta wo kahan main jise toD dun
mashq hai rang hai lutf hai KHas hai
yaad hai yaad to ek ehsas hai
yaad main ab kahan chhoD aaun tujhe
ab ye mumkin kahan bhul jaun tujhe
Nazm
Parchhaiyan
Nitin Nayab