nilgun abr chhaTa
surmai sham ke suraj ki tilai kirnen
marmarin barf ke billor badan par barsen
jhumte peDon ki bahon mein mahakte jhonke
peng si le ke pari-chehra munDeron ki jabin par umDe
dhund ki malgaji aaghosh mein KHwabida makanon ki chhaton ne apni
chhatiyan khol ke angDaiyan lin
zalzala tha ki mera wahm tha kuchh tha jis se
tharthara uTThe mere hath aur in ke niche
jhanjhana uTThi thi yun balcony ki reling
jaise baj uThen kisi saz ke tar
aur main lauT ke kamre mein chala aaya tha
ahmarin shaal mein lipTi hui ek laDki ne
chae ki pyali mere hath mein dete hue haule se kaha tha ab to
is sukun-zar mein koi bhi nahin apne siwa
tum jinhen rog samajhte the wo sab log gae
awwalin barf ke paDte hi meri ka har ghar
be-sada chhoD gae is ke makin
shor ka nam nahin
ab to yun chup na raho
ji mein aaya tha ki us se kah dun
sab kahan tum to abhi tak ho yahan par lekin
jaane kya soch ke KHamosh raha
Nazm
Pahli barf-bari
Zuhoor Nazar