pahle fan dast-o-gareban hain karan-ta-ba-karan
sar-nigun baiThi hui hai KHak par urdu zaban
kashti-e-urdu-zaban ke na-KHudao kya hua
ilm-o-fan sher-o-suKHan ke rahnumao kya hua
kya hui wo azmaten kuchh to batao kya hua
pichhe haTti ja rahi kyun saf-e-charagharan
sar-nigun baiThi hui hai KHak par urdu zaban
dekhiye jis ko bhi ab to ham-sar-e-ghaalib hai wo
shair-e-azam hai aur eazaz ka talib hai wo
hai ghalat-go phir bhi har ek sinf mein saib hai wo
likh raha hai KHud hi apni azmaton ki dastan
sar-nigun baiThi hui hai KHak par urdu zaban
numberon se aur goshon se rasail bhar gae
is zawal-e-ilm se KHud ilm wale Dar gae
naql ne bazar luTa asl apne ghar gae
be-adab logon ne kholi hai adab ki ek dukan
sar-nigun baiThi hui hai KHak par urdu zaban
Nazm
Pahle fan dast-o-gareban hain karan-ta-ba-karan
Nusrat Mehdi