saba hamare rafiqon se ja ke ye kahna
ba-sad tashakkur-o-iKHlas-o-husn-o-KHush-adabi
ki jo suluk bhi hum par rawa hua us mein
na koi ramz nihan hai, na koi bulajabi
hamare waste ye raat bhi muqaddar thi
ki harf aae sitaron pe be-charagi ka
libas-e-chaak pe tohmat qaba-e-zarrin ki
dil-e-shikasta pe ilzam bad-dimaghi ka
saba jo rah mein dushman milen to farmana
ki ye to kuchh na kiya ho sake to aur kare
ki apne dast-e-lahu-rang par nazar Dale
ki apne dawa-e-masumiyat pe ghaur kare
hadis hai ki usulan gunahgar na hon
gunahgar pe patthar sambhaalne wale
aur apni aankh ke shahtir par nazar rakkhen
hamari aankh se kanTe nikalne wale
Nazm
Pahla patthar
Mustafa Zaidi