apni mohabbat ke han karne
chhup ke nikah ke do bolon par KHush hone aur
us hi KHushi mein apne hathon ko mehndi se rangne wali
har-pal shoKHi se muskati pagal laDki
is mehndi ka rang phika paDne se pahle
tere sayyan
chhoD ke baiyyan
apni ek nai duniya mein magan hue hain
ek do din mein tujh se jo kuchh lena hai wo sab kuchh le kar
aur talaq ki kalak tere munh par mal kar
mahr ke nam par ehsan kar ke
tujh ko aisa zer karenge ki sab shoKHi
aankhon mein maujud ye masti
teri hasti
sab kuchh bas ek pal mein ulTa ho jaega
teri qismat ke dukh jitne sanjida hain
pagal laDki
tu bhi yak-dam waisi hi sanjida hogi
Nazm
Pagal laDki
Urooj Zehra Zaidi