shafaq naza mein le rahi thi sambhaala
andhere ka gham kha raha tha ujala
sitaron ke ruKH se naqab uTh rahi thi
fazaon se mauj-e-shabab uTh rahi thi
mai-e-zindagi jam-e-mai-nosh mein thi
wo kaif-e-masarrat, wo lamhat-e-rangin
wo ehsas-e-masti wo jazbaat-e-rangin
wo pur-kaif aalam wo dilkash nazare
wo jalwon ke bahte hue KHushk dhaare
wo namkin aaghaz-e-shab allah allah
numaish ki wo tab-o-tab allah allah
wo bab-e-muzammil pe jashn-e-charaghan
falak par hon jaise sitare daraKHshan
fazaon mein gunje hue wo tarane
wo jaan-baKHsh naghme wo pur-lutf gane
wo har samt husn-o-latafat ki jaanen
wo aarasta saf suthri dukanen
kahin par hai nazzara karigari ka
kahin garm hotel hai peshawari ka
ba-qadr-e-sukun wo dilon ka bahalna
amiron gharibon ka yakja Tahalna
numayan numayan wo yaran-e-college
wo ishrat-ba-daman jawanan-e-college
koi tez-dasti o chusti pe nazan
koi sehhat o tandurusti pe nazan
koi husn ki jalwa-rezi pe mail
koi shoKH nazron ki tezi pe mail
idhar chashm-e-hairan ki nazzara-sazi
udhar husn walo ki jalwa-taraazi
KHiraman KHiraman wo ham-joliyon mein
nikalti hui muKHtalif Toliyon mein
naqabon mein wo be-naqabi ka aalam
jo lata hai dil par KHarabi ka aalam
kisi ka wo chehre se aanchal uThana
kisi ka kisi se nigahen churana
kabhi yak-ba-yak chalte chalte Thaharna
nigahon se jalwon ki islah karna
kabhi ek tawajjoh dukanon ki jaanib
kabhi ek nazar naujawanon ki jaanib
tamasha gharaz kaamyab aa raha tha
numaish pe goya shabab aa raha tha
idhar hum bhi bazm-e-taKHayyul saja kar
khaDe ho gae ek dukkan pe aa kar
nazar mil gai dafatan ek nazar se
dhaDakne laga dil mohabbat ke Dar se
idhar to nazar se jabin-saiyan thin
udhar se bhi kuchh himmat-afzaiyan thin
KHalish dil ki donon ko taDpa gai thi
mohabbat ki manzil qarib aa gai thi
KHayalat mein is taraf ek talatum
labon par udhar halka halka tabassum
nigahon se ahd-e-wafa ho raha tha
ishaaron se matlab ada ho raha tha
idhar ishq ke baam-o-dar saj rahe the
ghaDi mein jo dekha to nau baj rahe the
yakayak jawan kuchh mere pas aae
jo the aastinon pe bille lagae
kaha itni taklif farmaiyega
numaish se tashrif le jaiyega
gharaz chal diye ghar ko majbur ho kar
mohabbat ke jalwon se mamur ho kar
hui jari rahi thi ajab haalat-e-dil
koi chhin le jaise paDhte mein nowel
hum is tarah bab-e-muzammil se nikle
lahu jaise TuTe hue dil se nikle
bahar-e-haal ab bhi wahi hai numaish
nawed-e-tarab de rahi hai numaish
wahi jashn hai aur wahi zindagi hai
magar jaise har shai mein koi kami hai
are o nigahon pe chha jaane wali
mere dil ko rah rah ke yaad aane wali
teri tarah jalwa-numa hai numaish
tere husn ka aaina hai numaish
numaish mein teri latafat hai pinhan
numaish mein teri nazakat hai pinhan
nigahon ko nahaq teri justuju hai
yaqinan numaish ke parde mein tu hai
Nazm
Numaish-e-aligarh
Shakeel Badayuni