hamara rujhan yaqinan harami-an tak ja chuka hai
hamare saron par KHauf musallat ho raha hai
kya hum junun ki had jagte hue jazbaat nahin bak rahe
waqai hamari bedari
ek sochi-samjhi sazish hai
hum ne junun ki had tak ishq kiya
hum ne junun ki had tak mubasharat ka lutf liya
ab hamein hamara hi kal jhinjhoD raha hai
use kaise alag karen
be-fikr be-KHauf kutte haDDiyon par laDte hue
ab hamari taraf lapak rahe hain
us ke munh se girta hua safed jhag
zamin ko tari pahuncha chuka
aur isi tar hoti zamin se ek nazuk pauda
ug kar
bahut sare pighalte hue sawalon
ke jawab
na-qabil-e-yaqin sachchai ke dosh par
pTriyon ke hare hare patton
ki KHamosh chhanw mein phisalte jaenge
Nazm
Nili qindil
Khalid Ghani