sarshaar-e-nigah-e-nargis hun pa-basta-e-gesu-e-sumbul hun
ye mera chaman hai mera chaman main apne chaman ka bulbul hun
har aan yahan sahba-e-kuhan ek saghar-e-nau mein Dhalti hai
kaliyon se husn Tapakta hai phulon se jawani ubalti hai
jo taq-e-haram mein raushan hai wo shama yahan bhi jalti hai
is dasht ke goshe goshe se ek ju-e-hayat ubalti hai
islam ke is but-KHane mein asnam bhi hain aur aazar bhi
tahzib ke is mai-KHane mein shamshir bhi hai aur saghar bhi
yan husn ki barq chamakti hai yan nur ki barish hoti hai
har aah yahan ek naghma hai har ashk yahan ek moti hai
har sham hai sham-e-misr yahan har shab hai shab-e-shiraaz yahan
hai sare jahan ka soz yahan aur sare jahan ka saz yahan
ye dasht-e-junun diwanon ka ye bazm-e-wafa parwanon ki
ye shahr-e-tarab rumanon ka ye KHuld-e-barin armanon ki
fitrat ne sikhai hai hum ko uftad yahan parwaz yahan
gae hain wafa ke git yahan chheDa hai junun ka saz yahan
is farsh se hum ne uD uD kar aflak ke tare toDe hain
nahid se ki hai sargoshi parwin se rishte joDe hain
is bazm mein teghen khinchi hain is bazm mein saghar toDe hain
is bazm mein aankh bichhai hai is bazm mein dil tak joDe hain
is bazm mein neze phenke hain is bazm mein KHanjar chume hain
is bazm mein gir kar taDpe hain is bazm mein pi kar jhume hain
aa aa ke hazaron bar yahan KHud aag bhi hum ne lagai hai
phir sare jahan ne dekha hai ye aag hamin ne bujhai hai
yan hum ne kamanden Dali hain yan hum ne shab-KHun mare hain
yan hum ne qabaen nochi hain yan hum ne taj utare hain
har aah hai KHud tasir yahan har KHwab hai KHud tabir yahan
tadbir ke pa-e-sangin par jhuk jati hai taqdir yahan
zarraat ka bosa lene ko sau bar jhuka aakash yahan
KHud aankh se hum ne dekhi hai baatil ki shikast-e-fash yahan
is gul-kada-e-parina mein phir aag bhaDakne wali hai
phir abr garajne wale hain phir barq kaDakne wali hai
jo abr yahan se uTThega wo sare jahan par barsega
har ju-e-rawan par barsega har koh-e-giran par barsega
har sarw-o-saman par barsega har dasht-o-daman par barsega
KHud apne chaman par barsega ghairon ke chaman par barsega
har shahr-e-tarab par garjega har qasr-e-tarab par kaDkega
ye abr hamesha barsa hai ye abr hamesha barsega
Nazm
Nazr-e-aligaDh
Asrar-ul-Haq Majaz