main bachpan mein
do qalam ek sath mangti thi
mere dada KHush ho jate
aur meri man bhi muskuraati
papa, nana banne se pahle
bachchon ke khel mein dilchaspi nahin lete
main do do hathon se lakiren khenchti
ek din mere hathon
aurat ban gai
jas ke hath pair hi nahin
dil aur dimagh bhi dukh rahe the
phir is ki tahzib karne mein
meri chhattis raaten guzar gain
saintiswin raat
papa mere khel mein sharik hue
muDe-tuDe kaghaz jaise
us aurat ko
apni jeb mein Thuns liya
main malal mein
apne donon qalam toD baiThi
ab aurat nahin
phul banaungi
kaghzi phul
jinhen na kahin miTi ki zarurat
na hawa raushni aur pani ki muhtaj ho
phir jo jahan chahe
unhen rakh de
ya saja de

Nazm
Nazm
Shabnam Ashai