ek ke baad ek kai mauten mar kar
ab main zinda ho gaya hun
ek main hi nahin
yahan mere ird-gard
aur bahut se
kai bar
maut ka zaiqe chakh chuke hain
kuchh aise bhi hain
jo ek bar marne ke baad
dobara zinda na ho sake
kai mauten marne
ya har bar ji uThne par
hum kyunkar zinda rahe
aur ek bar marne ke baad
kaun si chiz hamein phir se zindagi ki taraf le aai
hamein nahin malum
lekin ek baat to tai hai
insan do tarah ke hain
aur ek bar marne wale
aur bar bar marne wale
ye bhi tai samjhe
ki ek bar marne wale
marne se pahle zinda zarur the
bar bar marne walon ke bare mein
ye baat yaqin se nahin kahi ja sakti
Nazm
Nazm
Saeeduddin