mujhe yaad hai
raegani ke gahre samundar mein
jab main ne iktara apna bajaya
to is naghma-e-jaan-faza se
maqamat aah-o-fughan ke ubhaare
mazamin-e-nau ke sharare jagae
miTa Dala ehsas sab raegani ka
samundar ki tah se
naya shahr ubhaara

Nazm
Naya shahr
Anwar Sadeed