ek arse se
jazbaat-o-ehsas ki wadi-e-ishq ki basti
nae purane sabhi makan tamannaon ke
khuli chhaten ahd-o-paiman ki
band jharoke ke aarzuon ke
nim-shikasta diwar-o-dar armanon ke
ummidon ke unche niche lambe chauDe
gile aur pathrile raste
rahat ke ashjar sukun ki dub tarab ki KHud-raw belen
rang-birangi soch ke phulon ki shatranji
mahrumi ki unchi choTi
tanhai ki jaan-lewa Dhalwan dukhon ki saKHt chaTTanen dard ki khai
sab par yas ki barf jami thi
chaaron jaanib
ThanDi aur be-jaan safedi phail rahi thi
jiwan kya tha ek kafan tha
jis ke andar
KHud ko apne yaKH-basta sine se lagae
main ek zinda lash ki surat paDa hua tha
dil ke virane mein kuchh be-chehra lamhe
aasebi sayon ki surat
kanp rahe the hanp rahe the
aaj achanak
ek pari-chehra
mere chehre se be-rang kafan sarka kar
mere kan mein sargoshi ki
meri aankh mein jhank kar boli
uTh aur dekh
tere dil ki be-KHabar dhaDkan mein
kitna pyara kitna dil-awez siyah gulab khila hai
Nazm
Naya ishq
Zuhoor Nazar