nai jagah thi dur dur tak aaKHir par diwaren shab ki
kuchh yaron ne barpa kar di ek mahfil kuchh apne Dhab ki
unche dar se daKHil ho kar saf nasheb mein baiThe ja kar
ek maqam mein hue ikaTThe raunaq aur virani aa kar
markaz-e-dar se jashn-bapa tak sair thi sham-e-mehr-o-wafa ki
KHushi thi us se milne jaisi bechaini thi abr-o-hawa ki
sab rangon ke log jama the ek hi manzil thi un sab ki
ek basti aalam se KHali ek faza kisi KHwab-e-tarab ki
jangal ki shadabi jaisa pahna tha koi jalwa us ne
pairahan ek nai waza ka khule samundar jaisa us ne
kar rakkha tha chehra apna dukh-mukh se be-parwa us ne
meri taraf takne se pahle chaaron jaanib dekha us ne
Nazm
Nai mahfil mein pahli shanasai
Muneer Niyazi