tasawwur karo 
din ke KHwabon ke barbaad lamhon ka 
jab suli chaDhi 
us ka sar aasman par tha 
qadmon mein sari zamin 
hath phaile hue munh khula 
jibh bahar laTakti hui 
mujhe kya KHabar thi ki yun chand thak jaega 
tasawwur karo 
us ghaDi 
main jahan tha wahan mera saya na tha 
main use DhunDhta 
sat rangon ke dariya ki jaanib chala 
mujhe kya KHabar thi ki patal mein wo na tha 
har taraf nag the 
ifrit ke hath mein ek talwar thi 
phir wo talwar ki dhaar thi 
aur mera gala 
tasawwur karo 
phir wahan mera saya tha aur main na tha
        Nazm
Narasi sas
Mughni Tabassum

