bartari apni kya jatata hai
ye kamai to tu bhi khata hai
itna kahna dalil hai goya
aur tu bhi asil hai goya
do sharifon ki sun ke ye takrar
main khaDa rah gaya sar-e-bazar
aur hairat mein aisa gharq hua
kal-adam ek ek farq hua
nazish-o-asl-o-rang ke afsun
ghairat-e-nam-o-nang ke afsun
main yahan bhi sabhi qarinon mein
ek si dhaDkanen hain sinon mein
kasb-e-majbur par bhi ye ehsas
izzat-e-nafs aur waza ka pas
aisa baatil tilism-e-rang hua
munhadim qasr-e-nam-o-nang hua
is tarah miT gain meri aqdar
qahqaha ban gae dar-o-diwar
KHandani shanaKHten mat puchh
izzaten aur sharafaten mat puchho
Nazm
Nam-o-nang
Abdul Majeed Bhatti