kaun aaya hai
koi nahin aaya hai pagal
tez hawa ke jhonke se darwaza khula hai
achchha yun hai
bekari mein zat ke zaKHmon ki sozish ko aur baDhane
tez-rawi ki rahguzar se
mehnat-kosh aur kaam ke din ki
dhul aai hai dhup aai hai
jaane ye kis dhyan mein tha main
aata to achchha kaun aata
kis ko aana tha kaun aata

Nazm
Nakara
Jaun Eliya