band aankhen kiye sar-e-sahil
kal sahar-dam ye sochta tha main
nind ki god mein zamana hai, beDiyan toD dun, nikal jaun
wadi-e-hu mein ja ke kho jaun
dafatan ek mauj ne baDh kar
apna sar mere panw par rakkha
aur kaha
dekh chashm-e-dil se dekh
nil-gun bahr kitna dilkash hai
hai zamin kis qadar hasin-o-jamil
aasman kitna KHub-surat hai
lekin ai shahkar-e-dast-e-azal jis taraf ka tera irada hai
kya pata wo dayar kaisa hai
ye faza ye hawa ye husn tujhe
kya KHabar hai, wahan mile na mile?
aur yun band ho gain mujh par har taraf se farar ki rahen!
Nazm
Nakaami
Iftikhar Aazmi