mere badan ki chaar diwari ke liye
khanakti hui miTTi kam thi
is liye KHuda ne aankhon mein kanch bhar diya
aur jahannam ke lapakte hue shoalon ki jalan lahu mein rakh di
mere hathon mein laq-o-daq sahraon ki retili wahshat
chabae hue aks ki lakiren banati rahti hai
aur zehn ke riste hue patile mein
din bhar bardasht ka lawa khaulta hai
log apne andazon ki jutiyan
mere ehsas ke darwaze pe utarte hain
aur kufr ki masjid mein nange panw chale aate hain
main apni zat mein itni mutassib hun ki
lahjon ko un ke maslak se pahchanti hun
aur kisi ba-murawwat KHanqah mein
majburi ka sajda nahin karti
koi ghaliz muskurahaT meri aankhon ko chhuna chahe to
main honTon pe thuk deti hun
lekin sadqa-e-jariya ka surKH rumal ungli pe nahin bandh sakti

Nazm
Na-KHalaf mizaj ki musaddaqa taslimat
Sidra Sahar Imran