main apne jism ke bahar khaDa hun
in aankhon ke dariche se to ab
basen saDken milon ki chimniyan
municipality ka wo nal koDhi bhikari
dhani-mal ka bahut uncha makan
kuchh bhi nazar aata nahin
ab in aankhon mein meri
hazaron enginon ka shor hai
kala dhuan hai
magar dil ko lubhata hai abhi tak
nil-gun duri ka manzar
chand tare aasman
dekhne ki KHwahishen
jagti hain
mashini hath mujh ko DhunDte hain
main apne jism ke bahar khaDa hun
Nazm
Murajaat
Mushaf Iqbal Tausifi