tum aisi subhon tum aisi shamon mein
apne ghar se kabhi na niklo
ki jab hawaen supurdagi se nihaal ho kar
tumhaare pahlu mein Dolti hon
tumhaare aanchal se khelti hon
tum aisi subhon tum aisi shamon mein
apne ghar se kabhi na niklo
ki hawaen udas lahje mein tum se puchhen
tumhaare aankhon ko kya hua hai
tumhaare chehre pe kya likha hai
tumhaare uThte hue qadam par
ye laDkhaDahaT si kis liye hai
tum aisi subhon tum aisi shamon mein
apne ghar se kabhi na niklo
ki jab hawaen
badalte mausam ki sazishen mein sharik ho kar
tumhaare ji mein ghalat-bayani ka zahr gholen
suno ai pyari-si sanwli-si sajili laDki
yahi hawaen to aate-jate
musafiran-e-rah-e-wafa par
ghubar-e-tohmat uchhaalti hai
mohabbaton par yaqin na ho to
dilon mein paiham
hazar wahmon ko Dalti hai
tum aisi subhon tum aisi shamon mein
apne ghar se kabhi na niklo kabhi na niklo kabhi na niklo
Nazm
Mukalima nazr-e-asmat
Khalid Moin