mujhe rone do rone do
usi pipal ke sae mein
jahan ek dard ki tasir ka mara
batata tha ki raaz-e-dard-o-gham kya hai
mudawa-e-alam kya hai
mujhe rone do rone do
jahan murli ki dhun sun kar
wo radhaen
kaDe jaDe ke mausam mein
kisi ki garmi-e-aghosh se uTh kar
mohabbat ki damakti chandni mein ja nikalti thin
mujhe rone do rone do
ki main ek ajnabi ban kar
tumhaare dar pe aaya hun, mera kashkol KHali hai
tumhaare pas jo dhan tha
mera dil aaj phir us ka sawali hai
magar tum dan kya doge
ki tum to KHud bhikari ho
mujhe rone do rone do
Nazm
Mujhe rone do
Muneebur Rahman