ai siyah-fam hasina tera uryan paikar
kitni pathrai hui aankhon mein ghaltida hai
jaane kis daur-e-alama-nak se le kar ab tak
tu kaDe waqt ke zindanon mein KHwabida hai
tere sab rang hayule ke ye be-jaan nuqush
jaise marbut KHayalat ke tane-bane
ye teri sanwli rangat ye pareshan KHutut
barha jaise miTaya ho inhen duniya ne
resha-e-sang se khinchi hui zulfen jaise
raste sina-e-kohsar pe bal khate hain
abruon ki jhuki mehrabon mein jamid palken
jis tarah tir kamanon mein ulajh jate hain
munjamid honTon pe sannaTon ka sangin tilism
jaise nayab KHazanon pe kaDe pahre hon
tund jazbaat se bharpur barahna sina
jaise sustane ko tufan zara Thahre hon
jaise yunan ke maghrur KHuda-wandon ne
regazaran-e-habsh ki kisi shahzadi ko
tishna ruhon ke hawasnak tayyush ke liye
hajla-e-sang mein paband bana rakkha ho
Nazm
Mujassama
Ahmad Faraz