اردو हिंदी
Meri jaan ab bhi apna husn wapas pher de mujhko | Shaahi Shayari
meri jaan ab bhi apna husn wapas pher de mujhko

Nazm

Meri jaan ab bhi apna husn wapas pher de mujhko

Faiz Ahmad Faiz

;

meri jaan ab bhi apna husn wapas pher de mujh ko
abhi tak dil mein tere ishq ki qindil raushan hai

tere jalwon se bazm-e-zindagi jannat-ba-daman hai
meri ruh ab bhi tanhai mein tujh ko yaad karti hai

har ek tar-e-nafas mein aarzu bedar hai ab bhi
har ek be-rang saat muntazir hai teri aamad ki

nigahen bichh rahi hain rasta zar-kar hai ab bhi
magar jaan-e-hazin sadme sahegi aaKHirash kab tak

teri be-mehriyon par jaan degi aaKHirash kab tak
teri aawaz mein soi hui shiriniyan aaKHir

mere dil ki fasurda KHalwaton mein ja na paengi
ye ashkon ki farawani se dhundlai hui aankhen

teri ranaiyon ki tamkanat ko bhul jaengi
pukarenge tujhe to lab koi lazzat na paenge

gulu mein teri ulfat ke tarane sukh jaenge
mabaada yaad-ha-e-ahd-e-mazi mahw ho jaen

ye parina fasane mauj-ha-e-gham mein kho jaen
mere dil ki tahon se teri surat dhul ke bah jae

harim-e-ishq ki sham-e-daraKHshan bujh ke rah jae
mabaada ajnabi duniya ki zulmat gher le tujh ko

meri jaan ab bhi apna husn wapas pher de mujh ko