mira-ji ko manne wale kam hain lekin hum bhi hain
'faiz' ki baat baDi hai phir bhi ab waisa kaun aaega
tazin-e-suKHan ki fikr na kar be-saKHta chal
uTh aankhen mal
wo kaamil diwan aa hi gaya
duniya bhar ko dahla hi gaya
han man liya par bahr ka kya badle badli har bahr badalne wali hai
jis rau mein samundar lakh bhare wo rau phir chalne wali hai
jab hum ne paDha kab chawwan mein kai nae to un ko pahchane
kuchh sikka-band taraqqi-pasand is jurat par bhi bura mane
aur hum se ho gae begane
yun bhi koi hum ko kya jaane
aur jab ye chhapa aTThawan mein to 'faiz' bahut hi aage the
jelen afsane majmuye
kuchh aisa roab hua qaem sab un ke jilau mein bhage the
hum jaise bhi un ke malbusat mein kachche-pakke dhage the
phir waqt ka palDa sirf siyasat aur tashhir mein jhul gaya
do chaar purane jame rahe par 'mira-ji' ko ek zamana bhul gaya
kam ahl-e-suKHan kam ahl-e-nazar ko yaad raha
koi 'mira-ji' bhi shaer tha
wo pakistan nahin aae
kaise aate
koi ishq ke zor pe bulwata to aa jate
bambai mein nange bhuke aur bimar rahe
wan aKHtar-ul-iman hi un ke dost murabbi KHadim bistar-e-marg aur qabr talak gham-KHwar rahe
yan un ke sahib-e-quwwat chahne wale bhi do waqt ki roTiyan dene ko bulwa na sake
ye apne apne zamir pe hai kya kahwae aur ab bhi kya kahwa na sake
aasan-tarin bayan ye hoga bulwaya par aa na sake
aur ab un ka diwan chhapa
dobara wahi darbar saja
kya gahra chauDa dariya hai
kin kin samton mein bahta hai
jag bhar se KHazane leta hai
jag bhar ko ko KHazane deta hai
kya is mein safine bahne lage
sab un ko qaside kahne lage
ab 'faiz' bhi hain aur 'rashid' bhi
wo bahut baDe par 'mira-ji'
han 'mira-ji' wo chamakte hain
kya kya hire kya kya moti kis shan ke sath damakte hain
ai yar-e-ghayab 'majid-amjad'
KHamosh shikar-e-rashk-o-hasad
be-tashhiri ke said-e-zabun
kab jhang mein aa kar tujh se kahun
le wo sach wapas aaya hai
jo jis ka haq ho ek na ek din us ne pura paya hai
Nazm
Mira-ji sahib
Jameeluddin Aali